थिस इस थे टरुए लव शहरिस प्रेसेंतेद बयरोहित सिंह फॉर हिस मेस्मेरिसिंग बेऔतीफुल लोवर _माया
थिस माया कोमेस ओनली इन माय द्रेअम्स_
जुस्त वेटिंग फॉर हेर ।
Woh to majborioon main lipti hain
Apney shiddat bharey khyaloon main
Apney ander chhupi ek aurat main
Wo hamesha hi darti rehti hain
Na to jeeti hain na to marti hain
Larkiyaan bewafaa nahi hoti
Per Hamesha hi darti rehti hain
Apne reeti or rawajoon se
Any waley naye azaboon se
Zardurat main khily ghulaboon se
Pyaar kerti hain or chhupati hain
Larkiyaan Bewafaa nahi hot
Kyuon ki majborioon main lepti hain
Or her lamha darti rehti hain
Apney pyaar se apney saye se
Apney rishton se dil ki dharkan se
Apni khowahish se apni kushioon se
Larkiyaan Bewafaa nahi hoti !!!
Pyaar kamjor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,
Dil mein basi hai ulfat jis pyar ki
us ke bina jiya nahi ja sakta.
Saath rehte rehte yuhin waqt guzar jayega
Door hone ke baad kaun kise yaad aayega
Jee lo ye pal jab humsath hai
kal ka kya pata, waqt kahan le jayega
…
Dosti achchi ho toh rang laati hai,
Dosti gehri ho toh sabko bhaati hai,
Dosti naadaan ho toh toot jaati hai,
Par agar dosti apne jaisi ho….
…. Toh itihaas banaati hai !
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar doon kurbaan yaari,
Jaan ke liye todd doon dosti tumhaari,
Ab tumse kya chhupaana,
Tum hi toh ho jaan hamaari !
Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !
Zindagi nahin humein doston se pyaari,
Doston pe haazir hai jaan hamaari,
Aankhon mein hamaari aansoon hai toh kya,
Jaan se bhi pyaari hai muskaan tumhaari !
Jasbaate ishq naakaam naa hone denge,
Dil ki duniya mein kabhi shaam naa hone denge,
Dosti ka har ilzaam apne sar par le lenge,
Par dost hum tumhe badnaam na hone denge !
Dosti toh sirf ek ittefaaq hai,
Yeh toh dilon ki mulaakaat hai,
Dosti nahi dekhti yeh din hai ki raat hai,
Isme toh sirf wafaadaari aur jasbaat hai !
Din jo guzar gaye hai yunhi
Raat bhi dhal gayi hai yunhi
Koshish tho bahut ki dil ne
Zuban pe baat rah gaye yuhi
e kaash kahin aisa hota ki do dil hote seene main
ek toot bhi jaata ishq mein to taklif na hoti jeene mein.
Bechara Kuch Is Ada Sey Rukh Hi Badal Gaya
Ek Shaks Sarey Shehar Ko Veeran Kar Gaya
Dekhkar bhi unko andekha kar jaayenge,
Par jab-jab saamne aaya chehra unka,
Socha is baar dekh le, agli baar bhool jaayenge.
Sookhe patton se pyaar kar lenge,
Ham to tum par aitbaa kar lenge,
Tum ye to kaho, tum hamaare ho sanam,
Ham jindagi bhar intjaar kar lenge.
Jab tanhaai me aapki yaad aati hai,
Hothon pe ek hi fariyaad aati hai...
Khuda aapko har khushi de,
Kyonki aaj bhi hamaari har khushi aapke baad aati hai.
Kal hamaare aangan me chaand utra,
Sitaaron ko gavara na tha,
Ham to sitaaron se bhi bagavat kar lete,
Par kya kare chaand hi hamaara na tha.
Tum dil ko bekaraar kyon nahi karate,
Meri mohabbat par aitbaar kyon nahi karate
No comments:
Post a Comment